sub.h-sub.h raushan hai raat-raat raushan hai

ai KHudaa do-'aalam me.n zaat terii raushan hai
Daal-Daal raushan hai paat-paat raushan hai
tere dam se phuulo.n kii kaa.inaat raushan hai
tum ne kis siyaahii se likh diyaa qur.aan aisaa
harf-harf raushan hai baat-baat raushan hai
hai zamii.n par bhii raushan terii jalva-aaraa.ii
aur falak par taaro.n kii ik baraat raushan hai
is qadar farozaa.n hai sham.a terii yaado.n kii
jaise raat pur-nam kii mere saath raushan hai
qudsiyaa.n 'arsh bhii chuumte hai.n aa kar ke
jab se shamiim 'anjum' ke lab pe na.at raushan hai

- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 134)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.