ho na taufiiq gar nadaamat kii
baarishe.n bhii na ho.ngii rahmat kii
KHud ko baazaarii kar diyaa lekin
bhuuk phir bhii miTii na shohrat kii
rahmato.n se hu.aa hai ghar raushan
raat ro-ro ke jab tilaavat kii
rizq mehnat kaa le ke ghar pahu.nchaa
dii du.aa raasto.n ne barakat kii
aasmaano.n pe chhaa ga.e baadal
pyaas ham ko lagii hai shiddat kii
shaa.irii daras hai mohabbat kaa
nahii.n gunjaa.ish is me.n nafrat kii
is ko izzat ataa kī allaah ne
jis ne chhoTe ba.De kii 'izzat kii
par lagaa.e havaa ne ai 'asfii'
jab bhii u.Dne kii mai.n ne niiyat kii
ho na taufiiq gar nadaamat kii
baarishe.n bhii na ho.ngii rahmat kii
KHud ko baazaarii kar diyaa lekin
bhuuk phir bhii miTii na shohrat kii
rahmato.n se hu.aa hai ghar raushan
raat ro-ro ke jab tilaavat kii
rizq mehnat kaa le ke ghar pahu.nchaa
dii du.aa raasto.n ne barakat kii
aasmaano.n pe chhaa ga.e baadal
pyaas ham ko lagii hai shiddat kii
shaa.irii daras hai mohabbat kaa
nahii.n gunjaa.ish is me.n nafrat kii
is ko izzat ataa kī allaah ne
jis ne chhoTe ba.De kii 'izzat kii
par lagaa.e havaa ne ai 'asfii'
jab bhii u.Dne kii mai.n ne niiyat kii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.