sharii'at Gaus-e-aazam kii tariiqat Gaus-e-aazam kii
nizaam-e-diin-o-duniyaa hai amaanat Gaus-e-aazam kii
judaa armaan hogaa aur na hasrat Gaus-e-aazam kii
rahegii dard-e-dil ban kar mohabbat Gaus-e-aazam kii
jamaal-e-mus.haf-e-sher-e-KHudaa ’aks-e-rasuulullaah
hai naqsha Gaus-e-aazam kaa hai suurat Gaus-e-aazam kii
nigaah-e-piir-e-mai-kHaana se mai jis jis ne paa.ii hai
usii ke kaam aa.egii himaayat Gaus-e-aazam kii
diyaa karte hai.n be-haajat milaa kartii hai be-maa.nge
hamaarii ghar kii daulat hai ye daulat Gaus-e-aazam kii
ye bilkul Gair mumkin hai mile.n duniyaa ke badle me.n
miraa iimaan ho saktaa hai qiimat Gaus-e-aazam kii
zabaa.n par apnii ham ausaaf ai 'manzuur' kyaa laa.e.n
do-'aalam me.n hai KHud raushan karaamat Gaus-e-aazam kii

Source :
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 39)
-
Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali
(2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.