KHud-ba-KHud dil miraa un pe qurbaan hai
jin kaa saare zamaane pe ehsaan hai
qaul sarkaar taiba kaa kyaa puuchhnaa
bil-yaqii.n haqq-e-ta'ala kaa farmaan hai
daulat-e-ishq-e-ahmad salaamat hai
dono.n a.alam me.n momin kii pahchaan hai
mustafaa se mohabbat kiyaa kiijiye
roz-e-mahshar ye baKHshish kaa saamaan hai
rashk-e-KHuld-e-barii.n jis ko kahte hai.n sab
sayyad-ul-anbiyaa kaa vo aivaan hai
shaq hu.aa chaa.nd ka.nkar ne kalma pa.Dhaa
dekhiye dekhiye un kii kyaa shaan hai
jin ke talvo.n kii dhavan hai aab-e-shifaa
un ke jaisaa bhalaa ko.ii insaan hai
na.at-go.ii kaa mujh ko sharf mil gayaa
ye to 'shaariq' aqiidat kaa faizaan hai

Source :
- Book : Afkar-e-Shariq (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.