mahfil sajii hu.ii hai kHairul-anaam kii
Daalii sajaa rahaa huu.n daruud-o-salaam kii
daaman ko apne saa.ilo aakar pasaar lo
KHairaat baT rahii hai mohammad ke naam kii
ulfat rasuul-e-paak kii jis ko nahii.n milii
izzat vo kyuu.n karegaa nabii ke Gulaam kii
aa.o uThaa ke le chale.n KHaak dar rasuul
ye KHaak-e-paak hai sabhii logo.n ke kaam kii
qismat jo le ke jaa.egii darbaar-e-mustfaa
KHvaahish karuu.ngaa mai.n vahaa.n har-pal qiyaam kii
masruur rakhe sab ko jo sab kaa bhalaa kare
mid.hat saraa.ii kiijiye aise nizaam kii
taariif kar rahaa huu.n rasuul-e-KHudaa kii mai.n
taa.iid ho rahii hai KHudaa ke kalaam kii
'shaariq' sabhii imaamo.n kii izzat karo magar
taqliid kiijiyegaa faqat ik imaam kii

Source :
- Book : Afkar-e-Shariq (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.