aa.nkho.n me.n mirii hai jo sa.ng-e-dar-e-jaanaa.n
kahtii hai mujhe duniyaa diivaana hai diivaana
hai suurat-e-vaaris me.n ik husn kaa afsaana
aur kaasa-e-ulfat hai maiKHaane kaa mai-kHaana
har gosha-e-dil meraa KHaalii hai abhii tak yaa.n
de khat ho.n Dagar tirii dil me.n piyaa aa jaanaa
bikhre hu.e gesuu par ha.nste hai.n jahaa.n vaale
goyaa.ii me.n rakhte hai.n vo tanz-e-hariifaana
hai vaqt naza.a shaayad tum ko pukaarat hai
tum saamne aa jaanaa tum saamne aa jaanaa
ye sarv-e-dil-e-jaa.n kiyaa maKHsuus nahii.n kuchh bhii
har chiiz tumhaarii hai kyaa pesh ho nazraana
devaa me.n jo ik sham.a raushan hai zamaane se
us sham.a kaa har millat hai aaj bhii parvaana
ye arz hai 'shaariq' kii dikhlaa do jhalak apnī
ab parda-e-Giibat se baahar zaraa aa jaana

Source :
- Book : Afkar-e-Shariq (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.