mohabbat ke paikar hai.n haafiz pyaarii
vafaa ke samundar hai.n haafiz pyaarii
charaaG-e-tariiqat ko paiham jalaayaa
vilaayat ke mehvar hai.n haafiz pyaarii
aqiidat me.n vaaris piyaa ke rahe gum
fidaa-e-payambar hai.n haafiz pyaarii
sub.h-o-shaam mastii me.n rahte the lekin
zamaane ke dilbar hai.n haafiz pyaarii
sab fakHr devaa kaa haasil-e-sharaf hai
vahii sab ke afsar hai.n haafiz pyaarii
a.ndhre miTaa kar ujaale kiye hai.n
charaaG-e-munavvar hai.n haafiz pyaarii
nashist-gaah-e-vaaris piyaa hai vahii.n par
jahaa.n saakin-var hai.n haafiz pyaarii
chalo Daal do tum bhii Deraa ai 'shaariq'
jahaa.n sachche rahbar hai.n haafiz pyaarii
mohabbat ke paikar hai.n haafiz pyaarii
vafaa ke samundar hai.n haafiz pyaarii
charaaG-e-tariiqat ko paiham jalaayaa
vilaayat ke mehvar hai.n haafiz pyaarii
aqiidat me.n vaaris piyaa ke rahe gum
fidaa-e-payambar hai.n haafiz pyaarii
sub.h-o-shaam mastii me.n rahte the lekin
zamaane ke dilbar hai.n haafiz pyaarii
sab fakHr devaa kaa haasil-e-sharaf hai
vahii sab ke afsar hai.n haafiz pyaarii
a.ndhre miTaa kar ujaale kiye hai.n
charaaG-e-munavvar hai.n haafiz pyaarii
nashist-gaah-e-vaaris piyaa hai vahii.n par
jahaa.n saakin-var hai.n haafiz pyaarii
chalo Daal do tum bhii Deraa ai 'shaariq'
jahaa.n sachche rahbar hai.n haafiz pyaarii
Source :
- Book : Afkar-e-Shariq (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.