Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

afzal hai naam behtar hazrat uvais qarnii

Sheikh Mukhtar Ahmad

afzal hai naam behtar hazrat uvais qarnii

Sheikh Mukhtar Ahmad

MORE BYSheikh Mukhtar Ahmad

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت اویس قرنی (الرقہ-شام)

    afzal hai naam behtar hazrat uvais qarnii

    vird-e-zabaa.n hai aksar hazrat uvais qarnii

    hukm-e-rasuul thaa to pahu.nche 'umar-o-haidar

    mahv-e-du'aa the dar par hazrat uvais qarnii

    baKHshish kii maa.ngte the har dam du'aa KHudaa se

    hai.n aap banda-parvar hazrat uvais qarnii

    ho qarn yaa yaman ho chamkaa diyaa sabhii ko

    chamkaa do ye muqaddar hazrat uvais qarnii

    ik raasta dikhaayaa mahbuub se mohabbat

    ham sab ke aap rahbar hazrat uvais qarnii

    dandaan kii KHabar se KHud apne daa.nt to.De

    ja.ng uhud kaa manzar hazrat uvais qarnii

    ye shaiKH jagmagaa.e hastii miTaa ke apnii

    naqsh-e-qadam pe chal kar hazrat uvais qarnii

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 114)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now