yahii dard-e-zindagii hai isii dard me.n maza hai

teraa naam jab liyaa meraa dil ta.Dap uThaa hai
tere naam ke tasadduq teraa zikr jab hu.aa hai
meraa dard tham gayaa hai mujhe chain aa gayaa hai
na ba.Dhe adab kii had se ki dayaar-e-mustafaa hai
merii be-KHudii se kah do ye maqaam hosh kaa hai
sar-e-hashr apnaa kah kar merii laaj rakhne vaale
terii rahmato.n ke sadqe ye karam nahii.n to kyaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.