zehn-o-dil me.n aap kii ulfat kii jo tanviir hai

har gha.Dii nazro.n me.n aaqaa aap kii tasviir hai
'arsh-o-farsh-o-bahr-o-bar dasht-o-jabal har ik jagah
tazkira hai aap kaa aur aap kii tauqiir hai
mehr-o-mah kii raushnii ho yaa ki anvaar-e-nujuum
jo bhii jalva hai jahaa.n me.n aap kii tanviir hai
roz-o-shab kaa ek ek lamha jo bhii hai aap kaa
vo to qur.aan-e-mubii.n kii vaaqa.’ii tafsiir hai
hai ziyaarat aap kii duniyaa me.n jis ko bhii nasiib
allaah allaah dosto us kii ba.Dii taqdiir hai
aap kii ummat me.n jo paidaa kiyaa allaah ne
jaane kis ke KHvaab kii 'hassaan' ye ta.abiir hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.