jalva-aaraa hu.e jab habiib-e-KHudaa jashn saare jahaa.n me.n manaayaa gayaa

Hazim Hassan
MORE BYHazim Hassan
jalva-aaraa hu.e jab habiib-e-KHudaa jashn saare jahaa.n me.n manaayaa gayaa
un ko ulfat bhii sab se ziyaada milii zulm had se sivaa un pe Dhaayaa gayaa
jin kii rahmat hai aalam ko ghere hu.e un ke kis kis falak par jo Dere hu.e
puurii insaaniyat ke jo hamdard hai.n un ko sab se ziyaada sataayaa gayaa
un kaa tarz-e-‘amal un kii har ik adaa kis qadar pur-kashish kis qadar dilrubaa
achchhe aKHlaaq kii hove takmiil bas us kii KHaatir hii un ko to laayaa gayaa
un se ba.Dh kar bhalaa kaun mahbuub-e-rab un kaa jo ho gayaa us ke qabze me.n sab
saarii duniyaa ko ye muzda-e-jaa.nfizaa vaqfa-vaqfa se aksar sunaayaa gayaa
un ke naqsh-e-qadam par vo kyuu.n na chale un ke saa.nche me.n aaKHir vo kyuu.n na Dhale
har jagah zindagii ke har ik mo.D par un ko rasta suhaanaa dikhaayaa gayaa
baar-haa koshishe.n us kii hotii rahii.n quvvate.n haq muKHaalif bhii khotii rahii.n
haq ko Galba milaa haq ubhartaa rahaa aur baatil hamesha miTaayaa gayaa
dar-ba-dar kar ke mulk-o-vatan se jinhe.n KHush-o-KHurram the jo intihaa.ii unhe.n
zer honaa pa.Daa aa.ii zillat gale phir se nikle hu.e ko basaayaa gayaa
aa.e apne vatan phir se jab lauT kar pyaar karne lage sab se vo TuuT kar
vo jo dar pe kabhii jaan-o-iimaa.n ke the un ko ba.Dh kar gale se lagaayaa gayaa
diin-o-iimaa.n kii sham.a farozaa.n rahe nayyar-e-haq bhii a.alam me.n taabaa.n rahe
zor baatil kaa TuuTe usii ke liye KHuu.n ke dariyaa me.n aksar nahaayaa gayaa
ye falak ye zamii.n aur ye mahfil hasii.n jin kii KHaatir vahii kyuu.n hai.n andoh-gii.n
haath dil par zaraa rakh ke soche ko.ii Guncha-o-gul ko kyuu.n kar ha.nsaayaa gayaa
vaj.h shaadaabii-e-gulsitaa.n hai.n vahii sab hai.n be-naam-o-na.ng baa-nishaa.n hai.n vahii
huur-o-Gilmaan ke chashm-o-dil me.n bhii kyuu.n naqsh pyaare nabii kaa jamaayaa gayaa
zarra-zarra kaa dil kyuu.n jo raushan hu.aa kaun maujuud aa sehn-e-gulshan hu.aa
Guncha gul me.n badalne lagaa jhuum kar pattii patii me.n KHushbuu basaayaa gayaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.