ho kaise fikr-e-insaanii ko yaaraa terii rahmat kaa

KHudaa-e-paak hii KHud mad.h-KHvaa.n hai terii 'azmat kaa
zabaa.n qaa.il sadaaqat kii 'amal haamil amaanat kaa
ye adnaa mo.ajiza thaa tere aaGaaz-e-nubuuvat kaa
jahaan-e-KHaak thaa mahrūm saa.e se tere lekin
rahaa ahl-e-jahaa.n ke sar pe saaya terii rahmat kaa
vo KHaak-e-paak-e-yasrib vo muqaddas sar-zamii.n jis se
jahaan-e-KHaak ko rutba milaa firdaus-e-jannat kaa
jhukaate hai.n jabii.n aakar jahaa.n 'ilm-o-hunar vaale
jahaa.n jhuktaa hai sar aakar shahanshaaho.n kii shaukat kaa
vahii.n kii KHaak ke aaGosh me.n insaaniyat jaagii
vahii.n chamkaa sitaaraa nau-e’-insaa.n kii sharaafat kaa
vahii.n aayaa muqaabil husn-e-ma.anii husn-e-suurat ke
nazar aayaa jahaan-e-KHaak ko jalva mohabbat kaa
mohabbat ne tamannaa.o.n ko zauq-e-justujuu baKHshaa
ye zauq-e-justujuu hai valvala tujh se 'aqiidat kaa
usii ik valvale se zindagii ne aabruu paa.ii
yahii ik valvala hai nuur-e-iimaa.n terii ummat kaa
bas ai zor-e-qalam ruk jaa kahaa.n tak ye suKHan-raanii
na yaaraa sher-go.ii kaa na da.avaa 'ilm-o-hikmat kaa
yahii do chaar she’r-e-na’at hai.n bas kaa.inaat apnii
yahii hai ik vasiila be-sahaaro.n kii sa’aadat kaa
ubhartaa hai jo aa.nkho.n me.n kabhii aa.nsuu nadaamat se
sitaara hai yahii ham se gunahgaaro.n kii qismat kaa

- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.