baaG-e-'aalam ko milaa ra.ng-e-bahaaraa.n tujh se

bazm-e-hastii kaa hu.aa husn numaayaa.n tujh se
sar-buland aur hu.aa dahr me.n aadam kaa vaqaar
arjumand aur hu.ii 'azmat-e-insaa.n tujh se
vo tag-o-taaz ki dii tezii-e-dauraa.n ko shikast
vo tab-o-taab ki saaya thaa gurezaa.n tujh se
KHiffat-e-’ijz se kufr aur niguu.n-saar hu.aa
ustuvaar aur hu.ii satvat-e-iimaa.n tujh se
tujh se taariik fazaa.o.n ko milii kisvat-e-nuur
'azmat-e-shaam banii sub.h-e-daraKHshaa.n tujh se
naa-tavaano.n ne tavaanaa.ii kii himmat paa.ii
dard-mando.n ko milaa dard kaa darmaa.n tujh se
vus'at-e-juud-o-sakHaa dekh ke teraa saa.el
thaa tanik zarfii-e-daaman pe pashemaa.n tujh se

- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.