aap kii kyaa aa'laa hai shaan yaa KHvaaja is.haaq

Syed Amjad Hussain
MORE BYSyed Amjad Hussain
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت اسحاق مغربی (شیخ پورہ-بہار)
aap kii kyaa aa'laa hai shaan yaa KHvaaja is.haaq
bachha-bachha hai qurbaan yaa KHvaaja is.haaq
ham hai.n gadaagar bhuul bhii jaate hai.n lekin
tujh ko ham sab kaa hai dhyaan yaa KHvaaja is.haaq
ahl-e-safaa se jagmag kar diyaa jis ne bahaar
tere piir kaa hai KHaandaan yaa KHvaaja is.haaq
laakh misaale.n de de kar thak jaa.e.n log
rab hii jaane terii shaan yaa KHvaaja is.haaq
maGribii laqab tumhaaraa tum ko zebaa hai
vatan teraa mulk-e-iiraan yaa KHvaaja is.haaq
lauT ke KHaalii aap ke dar se jaa.e kaun
juud-o-saKHaa terii pahchaan yaa KHvaaja is.haaq
aaKHir tere dar par hii jaate hai.n Gariib
jaarii hai teraa faizaan yaa KHvaaja is.haaq
teraa vasiila sab ko 'ataa karataa hai KHudaa
maa.ngne vaale hai.n hairaan yaa KHvaaja is.haaq
kitne gul sarkaar ke gulshan ke hai.n yahaa.n
terii hastii hai bostaan yaa KHvaaja is.haaq
'amjad' bhii alfaaz se karataa hai jaaduu
jab ho she'r kaa tuu 'unvaan yaa KHvaaja is.haaq

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.