Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bihaar-o-hind me.n phailaa ujaalaa jaajnerii kaa

Syed Amjad Hussain

MORE BYSyed Amjad Hussain

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت احمد جاجنیری (لکھی سرائے-بہار)

    bihaar-o-hind me.n phailaa ujaalaa jaajnerii kaa

    milaa rasto.n ko bhii raushan ishaara jaajnerii kaa

    zamii.n par nuur barsaa aap ke sajdo.n kii barakat se

    falak tak guu.njtaa rahtaa hai naa'ra jaajnerii kaa

    jo tishna the jo pyaase the sabhii ko faiz miltaa hai

    har ik dariyaa se ba.Dh kar hai pyaala jaajnerii kaa

    'ibaadat 'ilm taqvaa husn-e-akHlaaqiyat ke maalik the

    har ek pahluu se raushan hai gharaanaa jaajnerii kaa

    hazaaro.n ko milaa faiz-e-daraKHshaa.n aap kii rahmat

    rahegaa qaa.em-o-daa.em ujaalaa jaajnerii kaa

    jo hinduu bastiyo.n me.n bhii chamaktaa thaa valii ban kar

    gavaah hai aaj bhii har ik nazaara jaajnerii kaa

    vo dargaah-e-'irfaanii vahaa.n bas chain miltaa hai

    KHudaa se ju.Dne vaalaa hai Thikaana jaajnerii kaa

    jahaa.n me.n thaa a.ndheraa raushnii firdosiyo.n se thii

    unhii ke nuur se raushan hai rasta jaajnerii kaa

    rahe mahfuuz ye dargaah sadaa aabaad rahmat ho

    KHudaa rakh le qayaamat tak zamaana jaajnerii kaa

    abhii bhii amrth-o-maulaa-nagar me.n jalve baaqii hai.n

    har ek dil me.n samaayaa hai ujaalaa jaajnerii kaa

    bashaarat auliyaa ne dii thii un ke nuur-e-haq par hii

    ki hogaa baa'is-e-rahmat zamaana jaajnerii kaa

    bahaare.n un kii dargaah par barastii hai.n qayaamat tak

    KHudaa ne KHud sa.nvaaraa hai Thikaana jaajnerii kaa

    giraa kar taKHt zaalim ke uThaa.ii haq kii talvaare.n

    kabhii jhuktaa nahii.n dekhaa hai maathaa jaajnerii kaa

    jo sar uThtaa thaa us rah me.n vahii phir jhuk bhii jaataa thaa

    abhii tak guu.njtaa hai ye taraana jaajnerii kaa

    rahe sayyad 'alii mard-e-KHudaa har ja.ng me.n aage

    sajaayaa baa.Dh me.n raushan sitaara jaajnerii kaa

    rahe.n mahfuuz qabre.n bhii sabhii aulaad kii un kii

    jo zinda rakh rahii hai bas fasaana jaajnerii kaa

    hu.aa 'amjad' bhii shaamil ab karam kii us nishaanii me.n

    bayaa.n karataa hai dil se vo taraana jaajnerii kaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now