na kyuu.n Gaayat mohabbat ho janaab-e-shaah vaaris se

milii hai 'ishq kii daulat janaab-e-shaah vaaris se
bane yaa-rab meraa madfan qariib-e-rauza-e-vaaris
munavvar ho merii turbat janaab-e-shaah vaaris se
mai.n kyuu.n na aastaa.n par un ke jaa.n apnii fidaa karuu.n
KHudaa kii hai jahaa.n qudrat janaab-e-shaah vaaris se
bilaa-shak be-nasiib us saa nahii.n ko.ii zamaane me.n
'bashiir' jis ko nahii.n haasil mohabbat shaah vaaris se

- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 43)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.