kahaa.n se bayaa.n hogii shaan-e-mohammad
kahaa.n se bayaa.n hogii shaan-e-mohammad
hai lafzo.n se aage bayaan-e-mohammad
do a.alam hii tanhaa nahii.n hai sanaa-KHvaa.n
KHudaa bhii hai naGma-kunaan-e-mohammad
jo jibriil qur.aan le kar hai.n aa.e
vo parvarda-e-aan-o-baan-e-mohammad
mohabbat ne jis se hai taariif paa.ii
vo hai niim shab kaa makaan-e-mohammad
quduum-e-nabii kaa asar hai ke ab tak
falak Dhuu.nDhtaa hai nishaan-e-mohammad
zahe sidaq-e-siddiiq adl-e-omar aur
hayaa-e-Ganii tohfa-daan-e-mohammad
gunaaho.n se baKHshish kaa saamaan hogaa
mile mujh ko gar ik amaan-e-mohammad
ye kul ambiyaa un kii tamhiid Thahre
ye kul auliyaa hai.n bayaan-e-mohammad
alii faatima aur husain-o-hasan sab
hai.n maah-e-mubii.n zau-fishaan-e-mohammad
nabii kii ataa se mile aise murshid
hai.n naam-e-KHudaa aur nishaan-e-mohammad
'asar' ne sanaa-gar ne fankaar logo.n
hai KHasta saa sag az sagaan-e-mohammad
kahaa.n se bayaa.n hogii shaan-e-mohammad
hai lafzo.n se aage bayaan-e-mohammad
do a.alam hii tanhaa nahii.n hai sanaa-KHvaa.n
KHudaa bhii hai naGma-kunaan-e-mohammad
jo jibriil qur.aan le kar hai.n aa.e
vo parvarda-e-aan-o-baan-e-mohammad
mohabbat ne jis se hai taariif paa.ii
vo hai niim shab kaa makaan-e-mohammad
quduum-e-nabii kaa asar hai ke ab tak
falak Dhuu.nDhtaa hai nishaan-e-mohammad
zahe sidaq-e-siddiiq adl-e-omar aur
hayaa-e-Ganii tohfa-daan-e-mohammad
gunaaho.n se baKHshish kaa saamaan hogaa
mile mujh ko gar ik amaan-e-mohammad
ye kul ambiyaa un kii tamhiid Thahre
ye kul auliyaa hai.n bayaan-e-mohammad
alii faatima aur husain-o-hasan sab
hai.n maah-e-mubii.n zau-fishaan-e-mohammad
nabii kii ataa se mile aise murshid
hai.n naam-e-KHudaa aur nishaan-e-mohammad
'asar' ne sanaa-gar ne fankaar logo.n
hai KHasta saa sag az sagaan-e-mohammad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.