ahl-e-safaa ke diin kaa qibla husain hai.n

ahl-e-nazar ke vaaste ka.aba husain hai.n
kHuu-e-nabii kaa huu-bahuu hai.n tarjumaan vo
husn-e-nabii kaa dekhiye jalva husain hai.n
jo baa.is-e-nishaat-o-kHushii hai.n batuul kii
duniyaa me.n ek zaat ve maulaa husain hai.n
gauhar hai.n vo valaa ke imaamat kaa hai.n sadaf
har ik tarah se dono.n kaa mamba.a husain hai.n
karb-o-balaa me.n jab shah-e-tasliim ban ga.e
ahl-e-razaa kaa tab hii se ka.aba husain hai.n
nok-e-sinaa.n pe un ke labo.n kii vo jumbishe.n
batlaa rahii hai ham ko ke zinda husain hai.n
darbaar-e-shaam me.n vahii zainab kaa valvala
lahje kaa ro.ab kahtaa thaa goyaa husain hai.n
qur.aan merii aal se hogaa judaa nahii.n
saabit kiyaa hai jis ne vo tanhaa husain hai.n
sar kaT chukaa hai dasht me.n phir bhii hai zau-fishaa.n
nok-e-sinaa.n pe nuur kaa baa.Daa husain hai.n
naam-e-yaziid miT gayaa naqsha nahii.n bachaa
momin ke dil me.n qaa.im-o-zinda husain hai.n
zulm-o-sitam kaa paikar-e-sangiin hai yaziid
rahm-o-karam kaa be-karaa.n dariyaa husain hai.n
mahshar me.n merii KHair rahegii yaqiin hai
vaaris alii kaa banda huu.n tosha husain hai.n
jo kuchh likho husain kii tausiif me.n 'asar'
rakhnaa KHayaal aalaa-o-baalaa husain hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.