alii murtazaa laala-zaar-e-mohammad
alii murtazaa laala-zaar-e-mohammad
nigaar-e-KHudaa gul-ezaar-e-mohammad
saraapaa nabii kaa saraapaa alii hai.n
yuu.n Thahre alii yaadgaar-e-mohammad
dayaar-e-nabii ke talab-gaar sun lo
dar-e-murtazaa hai dayaar-e-mohammad
alii ke binaa to nabii na mile.nge
hai raushan bayaa.n ye qaraar-e-mohammad
do a.alam me.n jo kuchh baraa.e shifaa hai
vo gard-e-alii-o-Gubaar-e-mohammad
KHudaa laa.e din apnii aa.nkho.n se dekhuu.n
dar-e-murtazaa aur dayaar-e-mohammad
jahaan-e-valaa ke vo maah-e-mubii.n hai.n
alii nayyar-o-faiz-baar-e-mohammad
ko.ii isti.aara nabii kaa jo Thahre
to maulaa alii musta.aar-e-mohammad
jo hai vaaqif-e-sirr-o-raaz-e-nabii se
vo haidar hii hai.n raaz-daar-e-mohammad
imaam-e-alii se imaam-e-zamaa.n tak
gul-e-laala-o-gul bahaar-e-mohammad
vo gauhar jo durr-e-nabii-o-alii hai
vo hai.n faatima iftiKHaar-e-mohammad
fa.uuz-e-nabii jin se jaarii hu.e hai.n
vo ibn-e-alii aabshaar-e-mohammad
alii kii mohabbat hai merii mohabbat
ayaa.n hai ye qaul-o-qaraar-e-mohammad
'asar' apne murshid ke sadqe me.n dekhe
rukH-e-laala-o-dil bahaar-e-mohammad
alii murtazaa laala-zaar-e-mohammad
nigaar-e-KHudaa gul-ezaar-e-mohammad
saraapaa nabii kaa saraapaa alii hai.n
yuu.n Thahre alii yaadgaar-e-mohammad
dayaar-e-nabii ke talab-gaar sun lo
dar-e-murtazaa hai dayaar-e-mohammad
alii ke binaa to nabii na mile.nge
hai raushan bayaa.n ye qaraar-e-mohammad
do a.alam me.n jo kuchh baraa.e shifaa hai
vo gard-e-alii-o-Gubaar-e-mohammad
KHudaa laa.e din apnii aa.nkho.n se dekhuu.n
dar-e-murtazaa aur dayaar-e-mohammad
jahaan-e-valaa ke vo maah-e-mubii.n hai.n
alii nayyar-o-faiz-baar-e-mohammad
ko.ii isti.aara nabii kaa jo Thahre
to maulaa alii musta.aar-e-mohammad
jo hai vaaqif-e-sirr-o-raaz-e-nabii se
vo haidar hii hai.n raaz-daar-e-mohammad
imaam-e-alii se imaam-e-zamaa.n tak
gul-e-laala-o-gul bahaar-e-mohammad
vo gauhar jo durr-e-nabii-o-alii hai
vo hai.n faatima iftiKHaar-e-mohammad
fa.uuz-e-nabii jin se jaarii hu.e hai.n
vo ibn-e-alii aabshaar-e-mohammad
alii kii mohabbat hai merii mohabbat
ayaa.n hai ye qaul-o-qaraar-e-mohammad
'asar' apne murshid ke sadqe me.n dekhe
rukH-e-laala-o-dil bahaar-e-mohammad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.