shauq-e-vasf-e-murtaza me.n dil ne ho kar be-qaraar

Yadgar Shah Warsi
MORE BYYadgar Shah Warsi
shauq-e-vasf-e-murtaza me.n dil ne ho kar be-qaraar
gah pukaaraa yaa alii gah saahab-e-duldul-savaar
razm-gaah-e-haq-o-baatil me.n hai ye na.ara buland
laa-fitaa illaa-alii laa-saif illaa-zulfiqaar
sham.a-e-bait-e-kibriyaa teraa jamaal-e-haq-faroz
jis ke girdaa-gird phirtaa hai jahaa.n parvaana-vaar
jaan-e-jaa.n jaan-e-jahaa.n kii jaan terii jaan hai
tujh pe sab jaane.n fidaa ho.n tujh pe sab jaane.n nisaar
bint-e-ahmad dil kii raahat ghar kii ziinat hai tirii
is pe hai.n hasnain beTe ghar kii duunii hai bahaar
tere hone se milaa haq kaa pata haq kii qasam
tere hone ne jahaa.n me.n haq ko baKHshaa e'tibaar
terii hii shaane.n hai.n maulaa un kii suurat me.n ayaa.n
Gaus-o-kHvaaja shaah-e-kaliyar vaaris-o-shaah-e-madaar
tere mai-KHaane se piite hai.n to bante hai.n ka.ii
shiblii-o-mansuur-o-sarmad miisam-e-aalii-vaqaar
sach yahii hai barmalaa sau baar boluu.ngaa 'faraaz'
mad.h haidar ko mohammad chaahiye yaa kirdgaar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.