Font by Mehr Nastaliq Web

kitnii bulandiyo.n pe hai rif'at husain kii

Syed Hassan Ahmed

MORE BYSyed Hassan Ahmed

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت امام حسین (کربلا-ایران)

    kitnii bulandiyo.n pe hai rif'at husain kii

    allaah jaane kyaa hai haqiiqat husain kii

    sajde ko tuul de ke nabii ne bataa diyaa

    kitnii buland-o-baalaa hai 'azmat husain kii

    pa.Dh kar husain minnii kaa farmaan ye khulaa

    goyaa rasuul kii thii shahaadat husain kii

    chaahe to karbalaa me.n hii kausar nikal pa.De

    mulk-e-KHudaa pe hai jo hukuumat husain kii

    kuufa se shaam shaam se yasrib har ik qadam

    sajjaad kar rahe the niyaabat husain kii

    chehra rasuul saa hai to zulfe.n rasuul sii

    bilkul rasuul jaisii hai suurat husain kii

    kaa.ndhe pe apne aaqaa biThaa kar husain ko

    jag ko bataa rahe hai.n faziilat husain kii

    hur ne thaa chho.Daa is liye fauj-e-paliid ko

    un ko bhii mil ga.ii thii bashaarat husain kii

    misl-e-hasan batuul-o-’alii mustafaa sii haa.n

    mash.huur hai jahaa.n me.n saKHaavat husain kii

    nauha fuzuul girya-o-zaarii fuzuul hai

    dil me.n agar nahii.n hai jo ulfat husain kii

    us ke sivaa me.n maa.nguu.n to maa.nguu.n bhii aur kyaa

    mil jaa.e kaash mujh ko shafaa'at husain kii

    detaa huu.n vaasta tujhe tere husain kaa

    yaa rab karaa de mujh ko ziyaarat husain kii

    KHuld-e-barii.n me.n daaKHila us kaa hii hogaa bas

    haasil jise bhii hogii ijaazat husain kii

    biibii mujhe bhii izn-e-ziyaarat 'ataa kare.n

    taa-ki ye aa.nkh dekh le turbat husain kii

    tanhaa kha.Daa hu.aa hai hazaaro.n ke darmiyaa.n

    aa.nkhe.n hai.n da.ng dekh ki himmat husain kii

    tharraa rahaa thaa 'arsh laraztaa thaa farsh bhii

    sun kar ke karbalaa me.n KHitaabat husain kii

    hinduu ho yaa ki ho vo musalmaan yaa ki sikh

    har ek qaum kartii hai mid.hat husain kii

    kaise kahuu.n ki tujh pe nahii.n hai karam 'hasan'

    har ik gha.Dii hai tujh pe 'inaayat husain kii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now