phuul shabnam aur zamiin-o-aasmaa.n raushan hu.e
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت علی مرتضیٰ کرم اللہ وجہہ الکریم (نجف-عراق)
phuul shabnam aur zamiin-o-aasmaa.n raushan hu.e
aamad-e-maulaa 'alii se kul jahaa.n raushan hu.e
jin kii aamad se mo'attar kaa'batullaah ho gayaa
KHuubsuurat gul-badan 'ambar-fishaa.n raushan hu.e
hazrat-e-maulaa 'alii kii har adaa aur qaul se
rab ke ausaaf-e-kariimaa ke nishaa.n raushan hu.e
husn-e-haidar kii tajallii se malak jinn-o-bashar
aaftaab-o-maahtaab-o-kahkashaa.n raushan hu.e
qurb-e-haq ke har salaasil ke rahe maulaa imaam
aur tasavvuf ke unhii se kaarvaa.n raushan hu.e
KHusrav-e-quds-e-aastaa.n taaj-e-imaamat ke nagii.n
mazhar-e-kHaaliq imaam-e-’aarifaa.n raushan hu.e
'aashiq-e-haidar ne mushkil me.n pukaaraa jab unhe.n
aap 'aashiq kii madad ko naa-gahaa.n raushan hu.e
qaadrii chishtii suhravardii ho yaa ho naqsh-band
murtazaa ke nuur se har aastaa.n raushan hu.e
tiirgii sii chhaa rahii thii chaar suu lekin 'hasan'
jashn-e-miilaad-e-’alii se har makaa.n raushan hu.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.