roz 'aashuura 'ajab ik saaneha hone ko hai

zulm aur jaur-o-jafaa kii intihaa hone ko hai
ye jo laalii hai falak par chaar suu chhaa.ii hu.ii
ye bataatii hai hame.n ek haadisa hone ko hai
qaafila sabr-o-vafaa kaa hai sar-e-maqtal kha.Daa
saabiro.n ke sabr kaa ab imtihaa.n hone ko hai
ghir gayaa dariyaa kinaare ik hasiin-o-dilrubaa
chaa.nd saa mukh.Daa lab-e-dariyaa zab.h hone ko hai
kis tarah laa.e ko.ii is shaahzaade kaa badan
Tuk.De-Tuk.De jism ke jis ke judaa hone ko hai
barchhiyaa.n chhalnii kare hai ek kamsin kaa jigar
baap kii aa.nkhe.n lahuu se ab ravaa.n hone ko hai
kar ke sajda shukr kaa rab se muKHaatab yuu.n hu.aa
dekh le banda tiraa tujh par fidaa hone ko hai
kaan se biibii kii khii.nchii jaa chukii hai.n baaliyaa.n
KHuun se lat-pat hasiin-o-mah-laqaa hone ko hai
tauq aur zanjiir me.n jak.Daa hu.aa biimaar hai
karbalaa se shaam kii ab ibtidaa hone ko hai
jis kii KHaatir KHaas hai vasf-e-hijaab-e-kibriyaa
KHaak u.Daa.o us kii beTii be-ridaa hone ko hai
jis kii KHaatir rab ne kausar ko utaaraa hai 'hasan'
haaye tishna-lab vahii ik qaafila hone ko hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.