qaid me.n bhii shokat-e-naam-o-nasab zainab me.n hai

jo hai ahl-e-bait kii pahchaan sab zainab me.n hai
ahl-e-Gam ho jaate hai.n aa kar jahaa.n shikva-ba-lab
us jagah bhii intahaa-e-shukr-e-rab zainab me.n hai
zuhd-o-taqvaa istaqaamat sabr-o-istiqlaal kii
marhabaa KHairunnisaa jaisii hii chhab zainab me.n hai
allaah-allaah saanii-e-zahraa kaa paayaa hai laqab
’izzat-o-tauqiir kaa har ik sabab zainab me.n hai
bhaa.ii kii 'azmat pe beTe bhii nichhaavar kar diye
jazba-e-iisaar-o-qurbaanii 'ajab zainab me.n hai
baat jab bhii niklegii dii jaa.egii us kii misaal
vo misaalii jauhar-e-'ilm-o-adab zainab me.n hai
daulat-e-kaunain se 'taahir' kahaa.n raGbat unhe.n
bas razaa-e-haqq-e-ta’aata kii talab zainab me.n hai

- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 242)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.