Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

taiba kii hai yaad aa.ii ab ashk bahaane do

Saem Chishti

MORE BYSaem Chishti

    taiba kii hai yaad aa.ii ab ashk bahaane do

    mahbuub ne aanaa hai raaho.n ko sajaane do

    mushkil hai agar meraa taiba me.n abhii jaanaa

    yaado.n ko shahaa apnii KHvaabo.n me.n to aane do

    mai.n terii ziyaarat ke qaabil to nahii.n maanaa

    yaado.n ko shahaa apnii KHvaabo.n me.n to aane dav

    lagtaa nahii.n dil meraa ab in viiraano.n me.n

    chhoTaa saa ghar mujh ko taiba me.n banaane do

    roko na mujhe ab to dar-e-yaar ke darbaano

    mahbuub kii jaalii ko siine se lagaane do

    ashko.n kii la.Dii ko.ii ab TuuTne mat denaa

    aaqaa ke liye mujh ko ik haar banaane do

    sarkaar ke qaabil ye alfaaz kahaa.n 'saa.im'

    ashko.n kii zabaa.n se ab ik naa't sunaane do

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now