marhabaa salle-'alaa fakHr-e-umam vo shaah-e-dii.n

jin ke dar kii KHaak se raushan hai 'aalam kii jabii.n
gauhar-e-durj-e-siyaadat ruu-kash-e-maah-e-mubii.n
nayyar-e-rakHshanda-e-charkH-e-risaalat be-chunii.n
ai KHushaa shamsuzzuhaa badruddujaa sadr-ul-’olaa
hazrat-e-aadam kii peshaanii ke nuur-e-avvalii.n
farsh-e-paa andaaz un kaa Gairat-e-baaG-e-bahisht
rashk-e-haft aflaak hai jin ke qadam se ye zamii.n
dii shab-e-me'araaj vo rif'at unhe.n allaah ne
aap ke qadmo.n ke niiche aa gayaa 'arsh-e-barii.n
shauq dil me.n ham-rakaabii kaa nazar anjaam par
rah gayaa par toltaa hii taa.er-e-sidra-nashii.n
ittisaal-e-qatra-o-dariyaa jise samjhaa gayaa
kab hu.aa banda ko.ii yuu.n apne maalik ke qarii.n
kar dii har ne.amat KHudaa ne zaat-e-aqdas par tamaam
kyaa kisii se ho.n raqam ausaaf-e-kHatm-e-mursalii.n
lau na degii tiira dil me.n ko.ii sham'-e-laa-ilaah
ho na jab tak soz-e-'ishq-e-mustafaa bhii bil-yaqii.n
jis kii gardan me.n nahii.n tauq-e-Gulaamii-e-rasuul
laakh sar maare kabhii momin vo ho saktaa nahii.n
mai.n mirii aulaad mere baap maa.n tum par nisaar
ai mire muzammil-o-mudassir-o-hablil-matii.n
'barq'-e-'aasii par karam kii ik nazar farmaa.iye
yaa shafii'-ul-muznabii.n yaa rahmtullil-'aalamii.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.