Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aa.e nazar na jis ko nazar kaa qusuur hai

Tamim Nizamabadi

aa.e nazar na jis ko nazar kaa qusuur hai

Tamim Nizamabadi

MORE BYTamim Nizamabadi

    aa.e nazar na jis ko nazar kaa qusuur hai

    phailaa hu.aa jahaa.n me.n taiba kaa nuur hai

    har lamha aap se jo ba-tadriij duur hai

    is vaaste zamaane me.n fisq-o-fujuur hai

    qisvaa tire nasiib pe naazaa.n hai.n ins-o-jinn

    sarkaar ke makaan kaa tujh ko shu.uur hai

    avval kii satar aap hii aaKHir kii satar aap

    nuur nabii kaa faiz jo bainassutuur hai

    dil me.n agar futuur ho raa.ii ke misl bhii

    rah kar madiina-paak me.n aaqaa se duur hai

    naazil tajalliyaat hai.n har aan jis jagah

    makka hai tuur hai yaa madiina huzuur hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now