saath KHvaaja bhii hai.n Gaus-e-aazam bhii hai.n

Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
Interesting Fact
منقبت در شان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
ai dil-e-muztarib Gam na kar sabr kar
saath KHvaaja bhii hai.n Gaus-e-aa'zam bhii hai.n
raat kaa vaqt hai raasta pur-KHatar

bandagii ke liye aisii nisbat milii
jaas kii har ik ka.Dii 'arsh se jaa milii
kitne KHush-baKHt hai.n nisbatii raahbar

ham pe allaah mohammad kaa ehsaan hai
apnii nisbat hii baKHshish kaa saamaan hai
muskuraate guzar ai mire ham-safar

sar pe rabbul-'ulaa qalb me.n mustafaa
aage piichhe hamaare hai.n kul auliyaa
kyuu.n na ho ab zabaa.n par ye shaam-o-sahar

KHush-nasiibii hamaarii zaraa dekhiye
kalma-e-taiba kii ziyaa dekhiye
bazm vaalo karo shukr aaThau pahar

ahl-e-nisbat jo hai.n sab kaa iimaan hai
Gaus-o-kHvaaja kaa ham pe ehsaan hai
kyuu.n ki dil mutma.in pur-sukuu.n hai nazar

sirf itnii hai 'rizvaa.n' haqiiqat merii
naaz kartii hai nisbat pe qismat merii
kHaadim-e-Gaus-o-kHvaaja huu.n kaahe kaa Dar

- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.