kasmapursii me.n Gariibo.n ke sahaare KHvaaja
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین حسن چشتی (اجمیر۔راجستھان)
kasmapursii me.n Gariibo.n ke sahaare KHvaaja
terii is aan ke sadqe mire pyaare KHvaaja
naaKHudaa tuu hai to kyaa Dar hame.n tuufaano.n kaa
lag hii jaa.e.nge kisii tarah kinaare KHvaaja
ai shah-e-hind dilo.n par hai hukuumat terii
dekhtaa huu.n tirii aa.nkho.n ke ishaare KHvaaja
kyaa KHabar thii ki lagii dil kii bha.Dak uTThegii
ra.ng laa.e.nge mohabbat ke sharaare KHvaaja
yaad aate hai.n to phir yaad bhii kiijiye mujh ko
ko.ii kab tak Gam-e-furqat me.n guzaare KHvaaja
bas isii shauq me.n ro ro ke guzaarii ham ne
po.nchhne aa.e.nge aa.nsuu ye hamaare KHvaaja
roza-e-paak pe ai kaash ko.ii le jaakar
mujh ko sau tarah se sadqe me.n utaare KHvaaja
ho chuke ham to mohabbat me.n javaa.n se buu.Dhe
kyaa na puuchhoge tum ab bhii mere pyaare KHvaaja
dardmandaan-e-mohabbat kaa tamaasha dekho
lauTte rahte hai.n kuuche me.n tumhaar KHvaaja
is tavaqqo.a pe ki taqdiir yahaa.n bantii hai
jam.a ho jaate hai.n taqdiir ke maare KHvaaja
aap hai.n nuur-e-alii nuur-e-nabii nuur-e-KHudaa
aap kii diid hai kis kis ke nazaare KHvaaja
aap ke dar pe Gariibo.n kii nazar pa.Dtii hai
KHatm ho jaate hai.n jab saare sahaare KHvaaja
dekh le ek nazar kHvaaja-e-usmaa.n kii qasam
ham ne barso.n tirii chaukhaT par guzaare KHvaaja
jiit merii hai ke sarkaar mujhe jiit ga.e
haaye kis mu.nh se kahuu.n jiit ke haare KHvaaja
rabt-e-ulfat kii qasam nisbat-e-‘kaamil’ kii qasam
tum hamaare ho hamaare ho hamaare ho KHvaaja

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 167)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.