KHushii se apne jaame me.n nahii.n phuule samaate hai.n
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
KHushii se apne jaame me.n nahii.n phuule samaate hai.n
ba-fazl-e-haq-e-taa'laa aaj ham ajmer jaate hai.n
nahii.n mahruum vo rahte yaqiin ab ho gayaa dil ko
ta'ashshuq jin ko hotaa hai use KHvaaja bulaate hai.n
nahii.n hote musharraf vo hii KHvaaja kii ziyaarat se
dilo.n me.n jin ke KHatre aur andeshe samaate hai.n
vo sun lete hai.n KHvaahish dard-mandaan-e-mohabbat me.n
jinhe.n hotii hai ulfat aap KHud un ko bulaate hai.n
nazar aataa hai shaayad ‘fajr’ dekho rauza-e-hazrat
uTho rahbar tamaamii u.ngliyo.n se kuchh bataate hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.