kHvaaja-e-'usmaa.n ke pyaare kHaaja-e-hindal-valii
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین حسن چشتی (اجمیر۔راجستھان)
kHvaaja-e-'usmaa.n ke pyaare kHaaja-e-hindal-valii
faatima zahraa ke jaanii ho tumhii.n jaan-e-'alii
yaa kHaaja-e-hindal-valii tuu ba.Daa Gariib-navaaz hai
tuu valii-e-hind hai barmalaa tujhe kahte hai.n shah-e-auliaa
tire dar ke ham bhii faqiir hai.n de hame.n bhii sadqa husain kaa
yaa kHaaja-e-hindal-valii
jise chaahaa dar pe bulaa liyaa jise chaahaa apnaa banaa liyaa
jise chaahe jaise navaaz de ye tirii nigaah kii baat hai
yaa kHaaja-e-hindal-valii
hu.e tere faiz se auliyaa ga.nj-e-shakar saabir piyaa
jo 'nizaam' 'KHusrau' valii bane mire KHvaaja faiz hai aap kaa

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 178)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.