ba-KHuubii mehr-e-taabaa.n maah se taa-ba-maahii ho
Interesting Fact
منقبت در شان محبوبِ الٰہی خواجہ نظام الدین اؤلیا (دہلی-بھارت)
ba-KHuubii mehr-e-taabaa.n maah se taa-ba-maahii ho
ba.Daa kyaa us se rutba ho ki mahbuub-e-ilaahii ho
qayaamat tak na us kii kashtii-e-dil ko tabaahii ho
ki jis kaa naaKHudaa altaaf mahbuub-e-ilaahii ho
kare kyuu.n kar na sajda tujh ko ik 'aalam ta'ashshuq se
ba-samt-e-farq-e-mahbuubii jo aisii kaj-kulaahii ho
qayaamat ko kariimii kii khulegii maahiyat us kii
ki jis ke dil me.n 'ishq-e-paak-e-mahbuub-e-ilaahii ho
Dare.n kyuu.n 'ishq-baazii se faKHr ke chaahne vaale
nizaamuddiin nasiiruddiin kii jis ko rahnumaa.ii ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.