'alii ke saath hai zahraa kii shaadii
'alii ke saath hai zahraa kii shaadii
sabhii KHush hai.n KHudaa.ii bhii KHudaa bhii
la.Dkaa hai KHudaa ke ghar kaa la.Dkii hai nabii ke ghar kii
vo arz-o-samaa kaa maalik vo malika-e-bahr-o-bar kii
zamii.n raqsaa.n hai raqsaa.n aasmaa.n bhii
'alii ke saath hai zahraa kii shaadii
bolaa ye KHudaa har jaanib rahmat kii ghaTaa barsegii
jo buGz se banjar hogii bas vo hii zamii.n tarsegii
uTho jibra.iil kar do ye munaadii
'alii ke saath hai zahraa kii shaadii
baaraat chalii haidar kii rahmat ke saa.e saa.e
baaraat kii aage dekho har ko.ii KHushii me.n gaa.e
nabii saare chale ban kar baaraatii
'alii ke saath hai zahraa kii shaadii
haidar hai.n kulah-e-iimaa aur kulah-e-'ismat zahraa
is sar pe vafaa kaa sahraa us sar pe hayaa ki sahraa
ye shahzaada aur vo shaah-zaadii
'alii ke saath hai zahraa kii shaadii
qudrat kii taraf se un ko abhii tohfe aur mile.nge
kal un ke hasii.n aa.ngan me.n do aslii phuul khile.nge
hasii.n shajre jinhe.n de.nge salaamii
'alii ke saath hai zahraa kii shaadii
duulhaa ke ruup me.n pyaare 'alii ibn-e-abii taalib hai.n
thaa baap bhii sab pe Gaalib ye bhii kal Gaalib hai.n
ye daamaad-e-nabii hai.n aur vo samdhi
'alii ke saath hai zahraa kii shaadii
kaise ho bayaa.n vo manzar jab KHatm hu.ii sab rasme.n
kaunain kii har shai go har kahtii thii khaa kar qasme.n
mubaarak ho mubaarak hai ye shaadii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.