allaah re kyaa baargah-e-Gaus-e-jalii hai

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Interesting Fact
منقبت درشان غوث اعظم شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد۔عراق)
allaah re kyaa baargah-e-Gaus-e-jalii hai
gardan ko jhukaa.e hu.e ek-ek valii hai
vo zaat gulistaan-e-risaalat kii kalii hai
nau-rasta-gul gulshan-e-zahra-o-’alii hai
aulaad-e-hasan aal-e-husain ibn-e-alii hai
be-shak shah-e-baGdaad-e-valii ibn-e-valii hai
sab un kii inaayat hai KHafii hai ki jalii hai
har rasm-e-karam un ke gharaane se chalii hai
jis dil pe nazar un kii ho vo raushan-o-biinaa
un ko jo pasand aa.e vahii baat bhalii hai
ho.n naqsh-e-qadam jis pe nabii aur alii ke
us dar pe kisii kii na chalegii na chalii hai
ik silsila-e-nuur hai har saa.ns kaa rishta
iimaan miraa hubb-e-nabii mehr-e-alii hai
us zaat se shaahii ke qariine ko.ii siikhe
vo zaat ki jo faqr ke saa.nche me.n Dhalii hai
mujh ko bhii mohabbat hai bahut baad-e-sabaa se
kyuu.n kar na ho aaKHir tire kuuche se chalii hai
mushkil hu.ii aasaan liyaa naam jo un kaa
yuurish Gam-o-aafath kii mire sar se Talii hai
har gaam pe sajde kii tamannaa hai jabii.n ko
ye kis kaa dar-e-naaz hai ye kis kii galii hai
jo nuur hai baGdaad kii galiyo.n kaa ujaalaa
har ek karin us kii madiine se chalii hai
mai.n un kaa huu.n taa-hashr 'nasiir' un kaa rahuu.ngaa
sad shukr ki un se mirii nisbat azalii hai

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 334)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.