mubaarak ho shah-e-jiilaa.n ke aane kii KHabar aa.ii

Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
Interesting Fact
منقبت درشان غوثِ پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
mubaarak ho shah-e-jiilaa.n ke aane kii KHabar aa.ii
KHabar ke saath hii mauj-e-karam bhii josh par aa.ii
abhii raste me.n the aaqaa ki rahmat kii sahar aa.ii
salaamii ke liye saarii KHudaa.ii jhuum kar aa.ii
jo aa.e Gaus to baGdaad me.n jannat utar aa.ii
taras khaa kar za’iifa par janaab-e-Gaus-e-a'azm ne
kiyaa ehsaa.n ye bu.Dhiyaa par janaab-e-Gaus-e-a'azm ne
bharosa kar ke maulaa par janaab-e-Gaus-e-a'azm ne
nazar Daalii jo dariyaa par janaab-e-Gaus-e-a'azm ne
to baarah saal kii Duubii hu.ii kashtii ubhar aa.ii
uThe aaqaa to aayaa zalzala duniyaa-e-baatil me.n
bahut uu.nchaa hai un kaa martaba arbaab-e-kaamil me.n
basaa le tuu bhii un kii yaad vaa.iz KHaana-e-dil me.n
pukaaraa mai.n ne jab mahbuub-e-sub.haanii ko mushkil me.n
to rahmat har taraf a.ng.Daa.iyaa.n letii nazar aa.ii

- Book : Zahid Nazan Qawwal, Part 1 (Pg. 5)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.