Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ik ik valii rahiin-e-karam Gaus-e-paak kaa

Pir Naseeruddin Naseer

ik ik valii rahiin-e-karam Gaus-e-paak kaa

Pir Naseeruddin Naseer

MORE BYPir Naseeruddin Naseer

    Interesting Fact

    منقبت درشان غوث اعظم شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد۔عراق)

    ik ik valii rahiin-e-karam Gaus-e-paak kaa

    hai sab kii gardano.n pe qadam Gaus-e-paak kaa

    munkir-nakiir kaa hame.n KHadsha zaraa nahii.n

    paate rahe hai.n dars jo ham Gaus-e-paak kaa

    allaah aaj dene pe aayaa hai maa.ng lo

    khultaa hai aaj baab-e-karam Gaus-e-paak kaa

    ummat ke haq me.n un kii sifaarish najaat hai

    karte hai.n paas shaah-e-umam Gaus-e-paak kaa

    me.araaj us kii rif.at-e-kaun-o-makaa.n nahii.n

    hogaa buland aur 'alam Gaus-e-paak kaa

    mujh ko nahii.n hai naqsh-e-sulaimaa.n kii aarzuu

    hai lauh-e-dil pe naqsh-e-qadam Gaus-e-paak kaa

    tai ho 'nasiir' jaada-e-hastii kaa yuu.n safar

    pairav rahuu.n qadam-ba-qadam Gaus-e-paak kaa

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 330)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now