Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kar mad.h shah-e-jinn-o-bashar aur ziyaada

Tufail Ahmad Misbahi

kar mad.h shah-e-jinn-o-bashar aur ziyaada

Tufail Ahmad Misbahi

MORE BYTufail Ahmad Misbahi

    kar mad.h shah-e-jinn-o-bashar aur ziyaada

    jaa.egii terii fikr nikhar aur ziyaada

    jiitaa huu.n tire saay-e-altaaf-o-karam me.n

    sarkaar inaayat kii nazar aur ziyaada

    aivaan-e-suKHan ko mire kar diijiye raushan

    ai sham-e-haram rashk-e-qamar aur ziyaada

    kar diije du.aa ai sha-e-bathaa ki hamaaraa

    allaah kare ilm-o-hunar aur ziyaada

    vo fikr-o-nazar mujh ko 'ataa ho ki kahe.n log

    allaah kare fikr-o-nazar aur ziyaada

    'ahmad' tuu ba-sad shauq luTaa ahl-e-adab me.n

    tausiif payambar ke guhar aur ziyaada

    har shaKHs kHudaa-bkHsh nazar aa.e jo ham me.n

    phir kyuu.n na kitaabo.n kaa zaKHiira ho mayassar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now