kaise bayaa.n ho vasf-e-risaalat-e-ma.aab kaa

Tufail Ahmad Misbahi
MORE BYTufail Ahmad Misbahi
kaise bayaa.n ho vasf-e-risaalat-e-ma.aab kaa
duniyaa-e-ra.ng-o-buu ke hasii.n intiKHaab kaa
ruuh-ul-amiin mashriq-o-maGrib kha.ngaal kar
bole nahii.n javaab hai is laa-javaab kaa
lutf-o-karam kii buu.nd se chhi.Dkaav kiijiye
ba.Dhtaa hii jaa rahaa hai dhu.aa.n iztiraab kaa
sairaab kar rahaa hai zamaane kii khetiyaa.n
mat puuchh haal un ke karam ke sahaab kaa
qurbaan jaa.uu.n husn-e-tadabbur pe aap ke
ruKH pher Daalaa vaqt ke har inqalaab kaa
aa jaa.e.n muskuraate hu.e jab vo qabr me.n
aasaan marhala ho savaal-o-javaab kaa
mahshar me.n un ke saayaa-e-rahmat ko dekh kar
dahshat se chehra zard hu.aa aaftaab kaa
hai jis ke dil me.n ashk shah-e-ambiyaa use
mahshar kaa KHauf hai na lahad ke azaab kaa
naam-o-numuud fan kaa zariiya na samjho tum
hai qasd meraa na.at se kaar-e-savaab kaa
laa-raib sinf-e-na.at-e-nabii ke sabab 'tufail'
chehra khulaa-khulaa saa hai fan ke gulaab kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.