tum shaah-e-vilaayat ho amiir-e-dosraa ho
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت شاہ عبدالمنعم کنزالمعرفت شاہ ولایت (دیوہ۔ہندوستان)
tum shaah-e-vilaayat ho amiir-e-dosraa ho
maulaa ho mire qaum nasiirii ke KHudaa ho
shaadaabii-e-gulzaar-o-aalam tumhii.n se
tum par to aa.iina-e-laulaak lammaa ho
jab ahmad be-miim kahe.n lahmak lahmii
phir kaun kahe tum ko ki tum kaun ho kyaa ho
mohtaaj ko KHaalii dar-e-aqdas se na phero
maljaa-e-Garebaan ho mullaa zulfuqr ho
hai zer-e-nagii.n mamlakat-e-sabr-o-tavakkul
tum baadshaah-e-kishvar-e-tasliim-o-razaa ho
haa.n raakib-e-dosh-e-nabvii kaun hai tum ho
tum haidar-e-karraar ho to tum sher-e-KHudaa ho
hamnaam-e-KHudaa ke bhii alii naam-e-KHudaa ho
allaah kaa jo ghar hai vo maulid hai tumhaaraa
kyaa lutf ho pii-pii ke lab-e-chashma-e-kausar
har mast kahe saaqii-e-kausar kaa bhalaa ho
ai shaah-e-najaf shabr-o-shabbiir kaa sadqa
mujh tishna-e-diidaar ko ik jaam-e-ataa ho
tum chaara-e-aalam ho jo be-chaara hai 'bedam'
mohtaaj hai ye tum to amiir-ul-umraa ho

- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 389)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.