tumhaarii zaat hai vo paak zaat yaa-vaaris

ki jis me.n sab hai.n KHudaa kii sifaat yaa-vaaris
tumhaaraa haath nabii kaa hai haath yaa-vaaris
tumhaarii zaat alii kii hai zaat yaa-vaaris
kuchh aisaa lagtaa hai ik tere saath rahne se
ki jaise saarii KHudaa.ii hai saath yaa-vaaris
bhaTak rahaa thaa sar-e-raah kaarvaan-e-hayaat
dikhaa.ii tum ne hii raah-e-najaat yaa-vaaris
sar-e-niyaaz jhukaa kar salaam kartii hai
dil-o-nigaah kii kul kaa.enaat yaa-vaaris
umiid-vaar hai 'ejaaz' rahmat kaa
idhar bhii ho nigaah-e-iltifaat yaa-vaaris

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 172)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.