kyaa ko.ii samjhegaa rutba kHvaaja-e-ajmer kaa
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
kyaa ko.ii samjhegaa rutba kHvaaja-e-ajmer kaa
hai ba.Daa valiyo.n me.n darja kHvaaja-e-ajmer kaa
huu.n nizaamii aur mai.n KHaadim huu.n ahl-e-chisht kaa
jaan-o-dil se huu.n mai.n shaidaa kHvaaja-e-ajmer kaa
aadmii to aadmii is gulshan-e-ajmer me.n
jaanvar pa.Dhte hai.n kalima kHvaaja-e-ajmer kaa
kHaadimo.n me.n aap ke huure.n bhii bhii hai.n Gilmaa.n bhii hai.n
Gairat-e-jannat hai rauza kHvaaja-e-ajmer kaa
aap ne paayaa laqab aaKHir habiibullaah kaa
allaah-allaah re tavallaa kHvaaja-e-ajmer kaa
raat-din bajtii hai naubat aap ke ijlaal kii
hind me.n bajtaa hai Da.nkaa kHvaaja-e-ajmer kaa
us ne goyaa 'arsh-e-aa'zm kii bulandii chuum lii
jis ne chuumaa aastaana kHvaaja-e-ajmer kaa
ne'amate.n jannat kii rizvaa.n de rahaa hai kyuu.n fuzuul
mujh ko la.ngar hii bahut thaa kHvaaja-e-ajmer kaa
tum kabhii 'irshaad' us dar-e-paa me.n jaate nahii.n
har baras hotaa hai melaa kHvaaja-e-ajmer kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.