tasliim kyuu.n na hove mujh ko adaa-e-saabir
Interesting Fact
منقبت در شان صابر پاک شیخ علاؤالدین علی احمد (کلیر-اتراکھنڈ)
tasliim kyuu.n na hove mujh ko adaa-e-saabir
jo hai razaa KHudaa kii vo hai razaa-e-saabir
apne karam se gar vo dil kaa kare mudaavaa
jitne maraz hai.n mere sab ko miTaa.e saabir
hindal-valii na kyuu.n kar tujh ko kahe zamaana
laakho.n ne tere dar se hai.n faiz paa.e saabir
ye aarzuu hai merii yaa rab tere karam se
big.De jo baat merii us ko banaa.e saabir
vahdat ke aa.iina kaa jalva dikhaa ke mujh ko
dil se kuduurato.n ko mere miTaa.e saabir
tujh ko hii mere maulaa Dhuu.nDe.n hai.n merii aa.nkhe.n
birahaa kii aag terii tan-man jalaa.e saabir
furqat me.n tere vahshii phirte hai.n maare-maare
kar-kar ke yaad tujh ko kahte hai.n haaye saabir
raah-e-KHudaa me.n chalnaa hai kaam saabiro.n kaa
be-sabr huu.n mujhe bhii dar par bulaa.e saabir
uTh kar 'nashaat' guhar se aa.nkho.n ke bal mai.n jaa.uu.n
rauza me.n apne jis dam mujh ko bulaa.e saabir

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.