kaliyar kaa gosha-gosha banaa hai jahaan-e-faiz
Interesting Fact
منقبت در شان صابر پاک شیخ علاؤالدین علی احمد (کلیر-اتراکھنڈ)
kaliyar kaa gosha-gosha banaa hai jahaan-e-faiz
yaa rab ye sarzamii.n hai ki aasmaan-e-faiz
aa.e.n na duur-duur se kyuu.n taalibaan-e-faiz
had se fuzuu.n vasii.a hai saabir kaa KHvaan-e-faiz
aataa hai jo yahaa.n vahii hotaa hai faizyaab
chashma hai faiz kaa ye kuchh aisaa makaan-e-faiz
mahruum aa ke faiz se rahtaa nahii.n ko.ii
kaliyar ko hai bajaa jo kahii.n ham dukaan-e-faiz
bahr ziyaarat aate hai.n har saal 'urs me.n
laakho.n qariib duur se dil-daadgaan-e-faiz
rahtaa hai zaa.iro.n kaa yahaa.n raat-din hujuum
jaate hai.n sau to aate hai.n sau taalibaan-e-faiz
is dar pe aa ke miltii hai mu.nh maa.ngii har muraad
allaah re shaan-e-juud ye allaah re shaan-e-faiz
suufii pe munhasir hai na mauquuf ri.nd par
aataa hai jo yahaa.n vahii bantaa hai kaan-e-faiz

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.