bazm-e-miilaad se jis shaKHs ko ulfat hogii

bil-yaqiin aap ko bhii us se mohabbat hogii
aap ke zikr se jis ko ki masarrat hogii
dil se mushtaaq usii shaKHs kii jannat hogii
daaman apnaa vahaa.n mujhe aap 'inaayat karnaa
bhii.D-e-mahshar me.n bahut roz-e-qayaamat hogii
dosto.n Gam nahii.n ban jaa.egii big.Dii apnii
aap kii jab nazar lutf-o-’inaayat hogii
jazba-e-shauq dikhaa.egaa madiina kis din
kab mujhe rauza-e-aqdas kii ziyaarat hogii
KHaak yasrib kii mai.n aa.nkho.n se malo kis vaqt
ruu-ba-ruu kab mere vo aaya-e-rahmat hogii
shaan-e-allaah us ko nazar aa.ii hogii
jis ne dekhii kabhii vo naaz me.n suurat hogii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.