ziyaa diida-e-haqbii.n hai ruKHsaara mohammad kaa

ki hai allaah kaa diidaar nazzaara mohammad kaa
falak par ko.ii hairaa.n ko.ii aavaara mohammad kaa
fidaa ek ek saabit aur sayyaara mohammad kaa
KHabar thii sab use asraar-e-mulk-e-kibriyaa.ii kii
ki thaa ruuh-ul-amii.n tiflii se har kaaraa mohammad kaa
falak kii harkato.n se khul gayaa arbaab 'irfaa.n par
ki barso.n rah chukaa hai 'arsh gahvaara mohammad kaa
kiyaa garduu.n pe un ke sharbat-e-diidaar kaa pyaasaa
masiihaa bhii thaa bittahqiiq dukhiyaaraa mohammad kaa
azaa.n hai saur us sultaan-e-diin ke kos-shaahii kaa
sadaa bajtaa rahe paa.ncho.n vaqt naqqaaraa mohammad kaa
pahu.nch legaa jahaa.n me.n jab ki ek ek ummatii un kaa
kahii.n us vaqt hogaa Gam se chhuTkaaraa mohammad kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.