Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

shaah-e-madiina merii big.Dii banaa do shaah-e-madiina merii big.Dii banaa do

Unknown

MORE BYUnknown

    Gariibo.n kaa sahaaraa yaa mohammad mustafaa tum ho

    KHudaa ke dil-rubaa ho be-kaso.n kaa aasraa tum ho

    kaalii kamaliyaa vaale aaqaa Gam se mujhe chhu.Daa do merii big.Dii banaa do

    shaah-e-madiina merii big.Dii banaa do shaah-e-madiina merii big.Dii banaa do

    Gariibo.n kii duniyaa sajaa.ii hai tum ne

    hazaaro.n kii big.Dii banaa.ii hai tum ne

    sune kaun aise me.n ruudaad merii

    KHudaa ke liye sun lo fariyaad merii

    musiibat kaa har suu hai tuufaan aaqaa

    ho mushkil merii ab to aasaan aaqaa

    na Duube kahii.n mere dil kaa safiina

    karam ho karam ho taajdaar madiina

    maulaa 'alii kaa vaasta meraa be.Daa paar lagaa do

    mile Gaus-ul-aa'zam-o-kHvaaja kaa sadqa

    mile mujh ko laahorii daataa kaa sadqe

    tumhe.n vaasta baabaa Gaazii ke dar kaa

    tumhe.n vaasta ga.nj-e-shakar ke dar kaa

    karam shaah-e-bihThaa.ii ke sadqe me.n kar do

    qalandar ke sadqe me.n jholii ko bhar do

    faatima zahraa ke sadqe me.n dil kii kalii khilaa do

    tumhe.n vaasta maulaa KHaibar-shikan kaa

    tumhe.n vaasta hai husain-o-hasan kaa

    musiibat ke maaro.n kaa tum ho sahaaraa

    suno be-kaso.n kaa fasaana KHudaa-raa

    tumhaare karam ke savaalii hai.n har-suu

    ko.ii Gam-zada baa bahaa dii hai aa.nsuu

    maa.n se jo bichh.De hai.n apnii maa.n se milaa do

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now