taiba ke jaane vaale jaa kar ba.De adab se

meraa bhii qissa-e-Gam kahnaa shah-e-’arab se
kahnaa ki shaah-e-'aalam ik ranj-o-Gam kaa maaraa
dono.n jahaa.n me.n us kaa hai.n aap hii sahaaraa
haalaat-e-pur-alam se har-dam guzar rahaa hai
aur kaa.npte labo.n se fariyaad kar rahaa hai
siine me.n hai a.ndheraa dil hai siyaah-KHaana
ye sab merii haqiiqat sarkaar-o-ilaah ko sunaanaa
kahnaa mere nabii se mahrūm huu.n KHushii se
sar par ik abr-e-Gam hai ashko.n se aa.nkh nam hai
paamaal zindagii huu.n sarkaar ummatii huu.n
ummat ke rahnumaa ho kuchh 'arz-e-haal sun lo
fariyaad kar rahaa huu.n mai.n dil-figaar kab se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.