taiba ko jaane vaale jaa kar ba.De adab se

meraa bhii qissa-e-Gam Gam kahnaa shah-e-'arab se
kahnaa ki shaah-e-'aalam ik ranj-o-Gam kaa maaraa
dono.n-jahaa.n me.n jis kaa hai.n aap hii sahaaraa
haalaat-e-pur-alam se is dam guzar rahaa hai
aur kaa.npte labo.n se fariyaad kar rahaa hai
baar-e-gunaah apnaa hai dosh par uThaa.e
ko.ii nahii.n hai aisaa jo puuchhne ko aa.e
bhaTkaa hu.aa musaafir manzil ko Dhuu.nDhtaa hai
taariikiyo.n me.n maah-e-kaamil ko Dhuu.nDtaa hai
siine me.n hai a.ndheraa dil hai siyaah-KHaana
ye hai merii kahaanii sarkaar ko sunaanaa
kahnaa mere nabii se mahruum huu.n KHushii se
sar par ik abr-e-Gam hai ashko.n se aa.nkh nam hai
paamaal-e-zindagii huu.n sarkaar kaa ummatii huu.n
ummat ke rahnumaa ho kuchh 'arz-e-haal sun lo
fariyaad kar rahaa huu.n mai.n dil-figaar kab se
meraa bhii qissa-e-Gam kahnaa shah-e-'arab se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.