a'amaal ko le kar sharmsaar kha.De hai.n

bas itnii tasallii hai ki sarkaar kha.De hai.n
sarkaar kii aa.nkho.n se chhalaktii hai mohabbat
vo jaante hai.n kyuu.n ye gunaahgaar kha.De hai.n
ab khol do dar un ke liye KHuld-e-barii.n kaa
ye sab to merii aal ke hubb-e-daar kha.De hai.n
kyaa naama-e-a'amaal ko.ii dekhegaa un kaa
jo aap kii zulfo.n me.n giraftaar kha.De hai.n
aaqaa hai.n hamaare to fikr kyuu.n 'iqbaal'
Gam kaise rahe.n saamne Gam-kHvaare kha.De hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.