vo jis ke dil par terii banda-parvarii ho jaa.e

siyaah-kaar KHudaa kii qasam valii ho jaa.e
ye aarzuu hai ki me.araaj-e-zindagii ho jaa.e
Gulaam kii dar-e-aaqaa pe haazirii ho jaa.e
tumhaare dast-e-inaayat se ai mire vaaris
ataa kii mujhe to mohabbat kii zindagii ho jaaye
dam-e-aaKHir tere dar pe jabii.n ho jaa.e
qabuul kaash tamannaa-e-zindagii ho jaa.e
tajalliyaat-e-ilaahii se ai mire aaqaa
siyaah-KHaana-e-hastii me.n raushnii ho jaa.e
KHudaa ke vaaste apnaa jamaal dikhlaa do
jo tum ko dekh le be-shak vo jannatii ho jaa.e
hasan husain kaa detaa huu.n vaasta tum ko
mire bhii haal pe ab banda-parvarii ho jaa.e
KHudaa kare mire vaaris vo din bhii aa.e kabhii
nisaar aap pe 'ajaaz-e-vaarsii' ho jaa.e

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 172)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.